Famous Shayari from Bollywood Movies:
Movie: Anand 1971
Director: Hrishikesh Mukherjee
Starring: Rajesh Khanna, Amitabh Bachchan
Babumoshai, zindagi aur maut uparwale ke haath hai jahanpanah. Usse na toh aap badal sakte hain na main. Hum sab toh rangmanch ki kathputhliyan hain jinki dor uparwale ki ungliyon main bandhi hain. Kab, kaun, kaise uthega yeh koi nahi bata sakta hai. Ha, ha, ha.
Zindagi Badi Honi Chahiye, Lambi Nahi Babu Moshai.
Maine tumse kitni baar kaha hai Pushpa, mujhse yeh aansoo nahi dekhe jaate. I hate tears.
Movie: Namak Haram 1973
Director: Hrishikesh Mukherjee
Starring: Rajesh Khanna, Amitabh Bachchan
Maine tera namak khaya hai isliye teri nazron mein namak haram zaroor hoon lekin jisne yeh namak banaya hai uski nazron mein namak haraam nahi hoon, Vicky.
Movie: Bawarchi 1972
Director: Hrishikesh Mukherjee
Starring: Rajesh Khanna, Jaya Bhaduri
Movie: Roti 1974
'It's simple to be happy but difficult to be simple'.
Movie: Roti 1974
Director: Manmohan Desai
Starring: Rajesh Khanna, Mumtaz
Insaan ko dil de, jism de, dimaage de, lekin yeh kambaqth pet mat de. Jab pet deta hai, toh usse bhook mat de.
Movie: Aradhana 1969
Director: Shakti Samanta
Starring: Rajesh Khanna, Sharmila Tagore
Ek chhota sa zakhm bahut gehra daag ban sakta hai. Aur ek chhoti si mulaqat jeevan bhar ka saath ban sakti hai.
Movie: Jab Tak Hai Jaan 2012
Director: Yash Chopra
Starring: Shahrukh Khan, Katrina Kaif, Anushka Sharma
Teri aankhon ki namkeen mastiyaan
Teri hansi ki beparwah gustaakhiyaan
Teri zulfon ki lehraati angdaaiyaan
Nahin bhoolunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan
Tera haath se haath chhodna
Tera saayon se rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Baarishon mein bedhadak tere naachne se
Baat baat pe bewajah tere roothne se
Chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se
Mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khwabon se
Teri be-raham duaaon se
Nafrat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
No comments:
Post a Comment